zindagi har subah dastak deti thi,
aur hum, gham ki kitab se shikwe karte the.
khushiyon ki gathari bachpan mein luta baithe,
ab, chand sikkon ka tension liya karte hain.
'naukari' mein humesh paison ki 'killat' rahi,
'college' mein hum humesha, raees hua karte the.
'tanhayeeon' se to aaj kal hi mulakat huyi hai,
kabhi sham dhalte, roz jalse hua karte ...
ab to sirf facebook par ginti badhti hai,
kya din the jab, aslee friend hua karte the.
aaj kal, 'zindagi' naye funde sikhati hai,
doston ke saath hum, 'zindagi' ke 'master' hua karte the.
No comments:
Post a Comment