Wednesday, June 1, 2011

na to butkade ki talab mujhe

na to butkade ki talab mujhe, na haram ke dar ki talash hai,

jahain lut gaya hai sukoon-e-dil usi rehguzar ki talash hai.


tu haram mein jisko hai dhoondta, mujhe butkade mein woh mil gaya,

tujhe kya malal hai ye saheba, yeh nazar nazar ki talash.


mujhe sab kabool falak magar, gham-e-dost mujh se talab na kar,

ise kaise dil se juda karoon, meri umr bhar ki talash hai.


aye tabeeb chod yuhi mujhe mujhe, main mariz-e-ishq hoon ladawa,

mujhe jisne dar pe ata kiya, us charagar ki talash hai.

1 comment:

Anonymous said...

I think Saheba is Zahedaa'n' N is half silent,

Very nice lines.